EK NUMAISH
Zindagi
..ittefaqon ki zariya hei..
Palkon bhar
ki ruswayiya ..na jaane palak jhapakte hi sulajhjaate hei..
Kabhi
gehrawon ke kashmakash mei hi..sahil e manzil mussawir banta hei..
Tho kabhi
farmaan e qwahish ..russ ke berehami choot jaata hei..
Gawah hei ye
duniya..kaarnamo se mulaaqaat karaane mei..
Guzarish hei
ye dil ..tu na rukhna kisi ka sahara liye..
Beintehaaa
hei is jahan mei nazaare … tho giley aur shikvey kis baat se
EK mod pe
safar chootgaya tho.. safarnamey kis kaam ke..
Sach hei ke
kaaton ke phool hotey hei…aur phoolon ke phal nikalte hei
Zindagi
gulzar hei… warna kasthi ko samandhar se kaisa lagaaw hei
Milte
chootthey hei rastey achey aur kachey…ajanbi kabhi sachey tho kabi ajnabee hi
rehte hei
Andheri
raaton ke peeche ..kehkashaaye noor tho
rehte hei..
Comments
Post a Comment